Pyaara sa mukhda
Pyaara sa mukhda,
Ghunghraale kesh,
Kalyug ka raja,
Khaatu Naresh,
Haare ka sahaara hai,
Mera Shyam Dhani,
Bhakto ka dulaara hai,
Mera Shyam Dhani.
(Tune – Aane se uske aaye bahaar.)
Ban sanwar ke baitha,
Yeh to darbaar apna laga ke,
Dekho lo karishma,
Shyam charnon mein sar ko jhuka ke,
Kasht kate, dukhde mite,
Deta chutkaara hai,
Mera Shyam Dhani,
Bhakto ka dulaara hai,
Mera Shyam Dhani.
Aa rahe hai lakho,
Shyam Baba ka karte hai darshan,
Dhyan se jo dekhe,
Inke chehre mein hai woh aakarshan,
Deewana kar deta,
Aisa jadugara hai,
Mera Shyam Dhani,
Bhakto ka dulaara hai,
Mera Shyam Dhani.
Jo bhi ho zarurat,
Sachche man se tu arzi laga de,
Chahiye agar kuch,
Iski chowkhat pe palla bicha de,
Kitno ke kismat ki,
Rekha ko sanwara hai,
Mera Shyam Dhani,
Bhakto ka dulaara hai,
Mera Shyam Dhani.
Mujhko jo kuch mila hai,
Kaise shabdon mein varnan karoon main,
Baar baar aakar,
Is daata ke paiya padoon main,
Dil mera yun bole,
‘Binnu’ yeh tumhara hai,
Mera Shyam Dhani,
Bhakto ka dulaara hai,
Mera Shyam Dhani.
Post Comment