फूलों में सज रहे है श्री वृन्दावन बिहारी भजन लिरिक्स
फूलों में सज रहे है,
श्री वृन्दावन बिहारी ।
और साथ सज रही है,
वृषभान की दुलारी ।।
टेढ़ा सा मुकुट सर पर,
रखा है किस अदा से ।
करूणा बरस रही है,
करूणा भरी निगाह से ।
बिन मोल बिक गई हूँ,
जब से छवि निहारी ।।
फूलों में सज रहे है,
श्री वृन्दावन बिहारी ।
बहियाँ गले में डाले,
जब दोनों मुस्कुराते ।
सबको ही प्यारे लगते,
सबके ही मन को भाते ।
इन दोनों पे मैं सदके,
इन दोनों पे मैं वारी ॥
फूलों में सज रहे है,
श्री वृन्दावन बिहारी ।
शृंगार तेरा प्यारा,
शोभा कहूँ क्या उसकी ।
इतपे गुलाबी पट का,
उतपे गुलाबी सारी ।
फूलों में सज रहे है,
श्री वृन्दावन बिहारी ।
नीलम से सोहे मोहन,
स्वर्णिम सी सोहे राधा ।
इत नन्द का है छोरा,
उत भान की दुलारी ।
फूलों में सज रहे है,
श्री वृन्दावन बिहारी ।
चुन – चुन के कलियाँ जिसने,
बंगला तेरा बनाया ।
और दिव्य आभूषणों से,
जिसने तुझे सजाया ।
उन हाथों पे मैं सदके,
उन हाथों पे मैं वारी ।।
फूलों में सज रहे है,
श्री वृन्दावन बिहारी ।
और साथ सज रही है,
वृषभान की दुलारी ।।
Phoolon mein saj rahe hain
Phoolon mein saj rahe hain,
Shri Vrindavan Bihari.
Aur saath saj rahi hai,
Vrishbhanu ki dulaari.
Tedha sa mukut sar par,
Rakha hai kis ada se.
Karuna baras rahi hai,
Karuna bhari nigaah se.
Bin mol bik gayi hoon,
Jab se chhavi nihari.
Phoolon mein saj rahe hain,
Shri Vrindavan Bihari.
Bahiyaan gale mein daale,
Jab dono muskuraate.
Sabko hi pyaare lagte,
Sabke hi man ko bhaate.
In dono pe main sadke,
In dono pe main waari.
Phoolon mein saj rahe hain,
Shri Vrindavan Bihari.
Shringaar tera pyaara,
Shobha kahoon kya uski.
Itpe gulaabi pat ka,
Utpe gulaabi saari.
Phoolon mein saj rahe hain,
Shri Vrindavan Bihari.
Neelam se sohe Mohan,
Swarnim si sohe Radha.
It Nand ka hai chhora,
Ut Bhan ki dulaari.
Phoolon mein saj rahe hain,
Shri Vrindavan Bihari.
Chun-chun ke kaliyan jisne,
Bangla tera banaya.
Aur divya abhooshanon se,
Jisne tujhe sajaya.
Un haathon pe main sadke,
Un haathon pe main waari.
Phoolon mein saj rahe hain,
Shri Vrindavan Bihari.
Aur saath saj rahi hai,
Vrishbhanu ki dulaari.
Post Comment