O mast nazar waale teri yaad sataati hai
O mast nazar waale teri yaad sataati hai.
Hichki pe chali hichki teri yaad sataati hai.
Lagta hai mujhe aisa jyon paas mein rehte ho,
Har swaas mein rehte ho, vishwas mein rehte ho,
Naino ke jharokhon mein mausam barsaati hai,
O mast nazar waale teri yaad sataati hai.
Manwa hai mera chanchal, naadaan hai bhola hai,
Maya ke jhakolon se sansar mein dola hai,
Dhalti hui raato mein nazrein takraati hai,
O mast nazar waale teri yaad sataati hai.
Fariyaadi hai yeh dar ka ise bhool nahi jaana,
Kaano mein pada hoga is daas ka afsaana,
Gajraaj ki juhri ko meri haar bulaati hai,
O mast nazar waale teri yaad sataati hai.
Tum Shyam Bahadur ke poonji ho khazane ki,
‘Shiv’ saath mere rehna yeh arj deewane ki,
Baanki si ada teri madhosh banaati hai,
O mast nazar waale teri yaad sataati hai.
Hichki pe chali hichki teri yaad sataati hai,
O mast nazar waale teri yaad sataati hai.
Post Comment